Riyaz Khairabadi

jawani mai-e-arghawani se achchhi

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
javānī mai-e-arġhavānī se achchhī
mai-e-arġhavānī javānī se achchhī
baqā jis meñ ho shai vo faanī se achchhī
hameñ maut us zindagānī se achchhī
javānī ho achchhī sī achchhī kisī kī
na hogī tumhārī javānī se achchhī
ye mai shaiḳh ko nār-e-dozaḳh se baḌh kar
ye mai ham ko jannat ke paanī se achchhī
hamesha ko ab ho ga.ī aañkh muusā
sadā hogī kyā lan-tarānī se achchhī
agar pāsbānī mile tere dar kī
to ḳhidmat nahīñ pāsbānī se achchhī
milā TuuT kar ham ne tauba jo toḌī
nibhī chand din shaiḳh faanī se achchhī
nishāna bane dil rahe tiir dil meñ
nishānī nahīñ is nishānī se achchhī
tirī ḳhush-bayānī kā kyā zikr vaa.iz
ḳhamoshī tirī ḳhush-bayānī se achchhī
javānī to guzrī buḌhāpe se bad-tar
guzar jaa.e piirī javānī se achchhī
jo ulfat meñ hāsil huiiñ qais tujh ko
ye nākāmiyāñ kāmrānī se achchhī
'riyāz' aa raho tum jo sāhir ke dar par
rahe maut bhī zindagānī se achchhī
Top Urdushayar.com