Riyaz Khairabadi

jafa mein nam nikalo na aasman ki tarah

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jafā meñ naam nikālo na āsmāñ kī tarah
khuleñgī laakh zabāneñ mirī zabāñ kī tarah
fareb-e-asar ko koī de mirī fuġhāñ kī tarah
tarāshtī hai ye fiqre tirī zabāñ kī tarah
ye kis kī sāya-e-dīvār ne mujhe piisā
ye kaun TuuT paḌā mujh pe āsmāñ kī tarah
zarūr Dhā.eñge aafat kuchh un ke nāvak-e-nāz
chaḌhe haiñ gosha-e-abrū kaḌī kamāñ kī tarah
rah-e-hayāt kaTī is tarah ki uTh uTh kar
maiñ baiTh baiTh gayā gard-e-kārvāñ kī tarah
ba-rañg-e-tā.ir-e-bū maiñ huuñ ġhuncha-o-gul haiñ
mire qafas kī tarah mere āshiyāñ kī tarah
na tere dar se haTe terī Thokareñ khā kar
vahīñ jame rahe ham sañg-e-āstāñ kī tarah
hameñ hai ghar se ta.alluq ab is qadar baaqī
kabhī jo aa.e to do din ko mehmān kī tarah
gayā chaman ko to jhuk kar bahut milīñ shāḳheñ
liyā guloñ ne mujhe mere āshiyāñ kī tarah
balā hai ye koī thoḌā na jaane paikāñ ko
lahu piyegā hamārā ġham-e-nihāñ kī tarah
zarā sī jaan ko lākhoñ tarah ke khaTke haiñ
chaman na laa.e kahīñ rañg āsmāñ kī tarah
maiñ aa.uuñ aap ke ghar kyā mujhe Darāte haiñ
adū ke naqsh-e-qadam chashm-e-qadam chashm-e-pāsbāñ kī tarah
sharīk-e-dard to kyā bā.is-e-aziyyat haiñ
vo log jin se ta.alluq thā jism o jaañ kī tarah
tumheñ bhī degī mazā kuchh mirī musībat-e-ishq
kahīñ kahīñ se suno us ko dāstāñ kī tarah
rahe kabhī na ilāhī mirā qafas ḳhālī
ki mujh ko chain milā us meñ āshiyāñ kī tarah
mujhe shabāb ne maarā balā-e-jāñ ho kar
bahār aa.ī mire baaġh meñ ḳhizāñ kī tarah
qafas meñ luuT liye kaun se maze maiñ ne
dikhā.e aañkh ne sayyād bāġhbāñ kī tarah
kisī ko chain na qātil kī shoḳhiyoñ se milā
mare hue bhī taḌapte haiñ nīm-jāñ kī tarah
tirī uThān taraqqī kare qayāmat kī
tirā shabāb baḌhe umr-e-jāvedāñ kī tarah
jau apne ghar koī aa le to kaun de taklīf
sitāre kaun vo baiThe haiñ mehmāñ kī tarah
'riyāz' maut hai is shart se hameñ manzūr
zamīñ satā.e na marne par āsmāñ kī tarah
Top Urdushayar.com