Riyaz Khairabadi

wo gul hain na unki wo hansi hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
vo gul haiñ na un kī vo hañsī hai
dekho jidhar us sī paḌī hai
kyuuñ sog kī rasm jīte-jī hai
marne kī hamāre kyā kahī hai
aaḌī haikal ko chuum legī
vo chiiz jo kuchh uThī uThī hai
dāvat thī raqīb kī mire ghar
juutī meñ daal kyā baTī hai
aayā dabe paañv qabr par kaun
koī nahīñ merī bekasī hai
ek vaz.a par ab ḳhudā nibāhe
tauba kar ke sharāb pī hai
vaa.iz hai ḳharāb ḳhvāhish-e-ḳhuld
bilkul ye shaḳhs jannatī hai
kuchh phuuT paḌī hai ghuñghruoñ meñ
chhāgal kuchh un kī kah rahī hai
majbūr farishta hai badī kā
pahle hī se kuchh kahī badī hai
paivasta nahīñ mirā lab-e-shauq
tere lab par tirī hañsī hai
ab kaun kalīm ban ke aayā
phir tuur par aag sī lagī hai
hai aañkh meñ aañkh kaun Daale
koī nahīñ terī aarsī hai
kaisā piinā kahāñ kī tauba
ab maiñ huuñ ḳhudā hai be-ḳhudī hai
ḳhush hoge 'riyāz' se bhī milnā
kyā bāġh-o-bahār aadmī hai
Top Urdushayar.com