Riyaz Khairabadi

is ishq-e-junun-KHez mein kya kya nahin hota

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
is ishq-e-junūñ-ḳhez meñ kyā kyā nahīñ hotā
dīvāna hai jo qais se lailā nahīñ hotā
kuchh hashr lahad par abhī barpā nahīñ hotā
aa.e ho to Thahro koī zinda nahīñ hotā
kyuuñ kar ye kahūñ husn kā nashsha nahīñ hotā
hotā to bahut hai magar itnā nahīñ hotā
kuchh kahiye to sharmā ke jhukā lete haiñ gardan
bhūle se bhī ab vāda-e-fardā nahīñ hotā
milte haiñ vo dil surḳh huī jaatī hai chuTkī
nāzuk haiñ bahut ḳhūn-e-tamannā nahīñ hotā
detī hai mazā mai kā hameñ talḳhī-e-tauba
jab haath meñ paimāna-e-sahbā nahīñ hotā
vo hashr ke din kushte ko Thukrā chuke sau-bār
kuchh jaan sī paḌ jaatī hai zinda nahīñ hotā
bolī ye tamannā jo ruke vo dar-e-dil par
ghar aap kā hai aap se pardā nahīñ hotā
tīroñ ko jagah dete haiñ jo siine meñ apne
un logoñ ke ai jaan kaleja nahīñ hotā
sahrā se qadam ghar kī taraf ḳhaak uThā.ūñ
kāñTe se judā paañv kā chhālā nahīñ hotā
baiThe nazar aate haiñ vahī terī galī meñ
jin kā kahīñ duniyā meñ Thikānā nahīñ hotā
furqat meñ hai kyuuñ naza.a kī taklīf gavārā
mar jaa.eñ 'riyāz' aap se itnā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com