Riyaz Khairabadi

unhin ke kaam ilahi mera lahu aae

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934

unhīñ ke kaam ilāhī mirā lahū aa.e

rañgeñ jo haath lahū meñ hinā aa.e

marīz hosh meñ aa.e na aa.e aa.e

jo na aa.e tire gesuoñ aa.e

itāb-e-yār is ke sivā javāb na thā

ham aa.e to liye ā.īna rū-ba-rū aa.e

na zabān se merā bhī zikr kar denā

kalīm-e-tūr par un se jo guftugū aa.e

na jhuuT bol ki ham shaam se kal ā.eñge

na khā qasam are jhūTī kabhī jo aa.e

namāz hogī adā duḳht-e-raz ke dāman par

hamārī bazm meñ jo aa.e bā-vazū aa.e

talab kiye kabhī ham ne agar pas-e-tauba

bahut bhare hue ham se ḳhum-o-subū aa.e

utarne vaale abhī tak na baam se utre

taḌapne vaale taḌap kar falak ko chhū aa.e

garāñ dimāġh vo haiñ bū-e-gul tezī se

nasīm kah de zarā halkī ho ke aa.e

nisār vasl rāteñ us ek saa.at par

ham intizār meñ tere hoñ aur aa.e

ye jānte haiñ ki niklā huā hai naam us

hasīn hashr meñ kyuuñ mere rū-ba-rū aa.e

khule jo koī to khul kar kisī se bāteñ hoñ

uThe hijāb to kuchh lutf-e-guftugū aa.e

dilā.e yaad jo va.ade to bole jhuñjhlā kar

ye aur hashr meñ lene ko aabrū aa.e

kabhī huī kaam aa.e aaj hashr ke din

ḳhudā ke sāmne mai-nosh surḳh-rū aa.e

'riyāz' thī jo muqaddar meñ bāz-gasht-e-shabāb

javān hone ko piirī meñ lucknow aa.e

Top Urdushayar.com