Riyaz Khairabadi

hum gharibon par jafa achchhi nahin

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934

ham ġharīboñ par jafā achchhī nahīñ

bekasoñ bad-duā achchhī nahīñ

maut aa.e ye duā achchhī nahīñ

hijr meñ bhī maut kyā achchhī nahīñ

dil-lagī meñ bhī to bigḌī hai bahut

baat ye zulf-e-rasā achchhī nahīñ

haath rañgne lahū se ho gumāñ

shoḳh itnī bhī hinā achchhī nahīñ

kyuuñ uḌātī ḳhaak aatī hai bahār

chheḌ asīroñ se sabā achchhī nahīñ

kaam maiḳhāne ho jā.egā band

chashm-e-sāqī hayā achchhī nahīñ

bosa-e-lab se nahīñ chaltā hai kaam

gāliyoñ ye sazā achchhī nahīñ

shaiḳh ye kahtā gayā piitā gayā

hai bahut bad-maza achchhī nahīñ

dil vo sab ke leñ ye hai achchhī adā

jaan lene adā achchhī nahīñ

ġham ġhalat karne ko maiñ kitnī piyūñ

rāt-din ġham ghaTā achchhī nahīñ

ek kāfir mujh se ye kahtā gayā

rāt-din yād-e-ḳhudā achchhī nahīñ

mai-kade ko chhoḌ ka.abe 'riyāz'

ġhaflat ai mard-e-ḳhudā achchhī nahīñ

Top Urdushayar.com