Riyaz Khairabadi

ghair se bad-guman ho jate

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ġhair se bad-gumān ho jaate
merī sunte to kaan ho jaate
mehrbāñ āsmān ho jaate
aap agar mehrbān ho jaate
mere ghar mehmān ho jaate
dil meñ tum aa ke jaan ho jaate
jaate ham zaar us galī meñ agar
zarre bhī āsmān ho jaate
pīr-e-fānī ko vaqt-e-bāda-kashī
ham ne dekhā javān ho jaate
naam merā jo bazm meñ aatā
mere lākhoñ bayān ho jaate
dil to kahtā hai lutf-e-vasl ye thā
jān-e-man merī jaan ho jaate
kahte terī sī barg-e-gul bulbul
ye bhī terī zabān ho jaate
bose kyā le koī tasavvur meñ
ki haiñ ruḳh par nishān ho jaate
zulm dhāte jo aate turbat par
farsh-e-rah āsmān ho jaate
bādaloñ meñ jo mai bharī hotī
jhuk ke ūñchī dukān ho jaate
shaiḳh jī mai-kada vo jannat hai
tum bhī jā kar javān ho jaate
pāsbāñ to raqīb ban jaatā
ham tire pāsbān ho jaate
milte kam-umr mah-jabīñ jo 'riyāz'
ham abhī naujavān ho jaate
Top Urdushayar.com