Riyaz Khairabadi

joban un ka uThan par kuchh hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
joban un kā uThān par kuchh hai
ab mizāj āsmān par kuchh hai
kyā Thikānā hai baat kā un kī
dil meñ kuchh hai zabān par kuchh hai
va.ada hai ġhair se ye hiila hai
kaam mujh ko makān par kuchh hai
huur kā zikr kyuuñ kiyā dam-e-marg
shub.h mere bayān par kuchh hai
gum-shuda dil na ho kahīñ merā
un kī mahram kī paan par kuchh hai
ho ke rusvā kise kiyā rusvā
zikr sab kī zabān par kuchh hai
kyuuñ na ho shauq jalva-e-lab-e-bām
ab javānī uThān par kuchh hai
kaho mehmān-e-ġham se ab ruḳhsat
qarz kyā mezbān par kuchh hai
bañg hī de jo mai nahīñ vaa.iz
terī ūñchī dukān par kuchh hai
maiñ ne ghūrā to ham-damoñ se kahā
dekho us naujavān par kuchh hai
rakh diyā haath un se ye kah kar
Thahro ai jaan raan par kuchh hai
koī chhup kar gayā hai ġhair ke ghar
shak qadam ke nishān par kuchh hai
baale pahne ulaT ke kānoñ meñ
aur ghabrā.e kaan par kuchh hai
huuñ yahāñ is liye dakan ko 'riyāz'
rashk hindostān par kuchh hai
Top Urdushayar.com