Riyaz Khairabadi

gul muraqqa hain tere chaak garebanon ke

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
gul muraqqa.a haiñ tire chaak garebānoñ ke
shakl ma.ashūq kī andāz haiñ dīvānoñ ke
na rukeñge dar-o-dīvār se zindānoñ ke
ḳhud-baḳhud paañv uThe jaate haiñ dīvānoñ ke
peñg vahshat meñ baḌhe haiñ tire dīvānoñ ke
ab bayābāñ bhī unheñ sahn haiñ zindānoñ ke
ek kyā jin ke har ik zarre meñ gum hoñ sau hashr
ham bagūle bane aise ka.ī maidānoñ ke
ka.aba-o-dair meñ hotī hai parastish kis kī
mai-parasto ye koī naam haiñ mai-ḳhānoñ ke
kuchh is andāz se aa baiThe haiñ vo sham.a ke paas
dekh kar duur se par jalte haiñ parvānoñ ke
le gayā aap ke dīvānoñ ko saudā-e-bahār
dar-o-dīvār haiñ TuuTe hue zindānoñ ke
jaam hai tauba-shikan tauba mirī jām-shikan
sāmne Dher haiñ TuuTe hue paimānoñ ke
haath kyuuñ khīñch liyā pher ke ḳhanjar tū ne
sar jagah se nahīñ uThte haiñ girāñ-jānoñ ke
dar se baḌhne nahīñ detā hai mujhe zauq-e-sujūd
maiñ huuñ naqsh-e-kaf-e-pā haiñ tirī darbānoñ ke
nahīñ gintī maiñ magar bazm-e-suḳhan hai raushan
aaj maiñ sham.a huuñ majme.a meñ suḳhan-dānoñ ke
qatre haiñ kausar-o-tasnīm kaf-e-sāqī meñ
ḳhum-e-aflāk to paimāne haiñ mai-ḳhānoñ ke
vus.at-o-zāt meñ gum vahdat-o-kasrat hai 'riyāz'
jo bayābāñ haiñ vo zarre haiñ bayābānoñ ke
vaah kyā nāma-e-a.amāl haiñ dīvānoñ ke
ki farishte liye TukḌe haiñ garebānoñ ke
hosh uḌte hue dekhe nahīñ insānoñ ke
lutf mai-ḳhānoñ meñ aate haiñ parī-ḳhānoñ ke
naqsh-e-pā rah nahīñ sakte tire dīvānoñ ke
ai junūñ sahn bahut tañg hai zindānoñ ke
par-e-parvāz bane ḳhud sharar-e-sham.a kabhī
sharar-e-sham.a bane par kabhī parvānoñ ke
apne kūche meñ jo dekhā to vo hans kar bole
chhānne vaale kahāñ aa.e bayābānoñ ke
zikr kyā ahl-e-junūñ kā ki jab aatī hai bahār
vo to vo rañg badal jaate haiñ zindānoñ ke
aaj but baiThe haiñ taqdīr ke mālik ban kar
ab jo likkhā ho muqaddar meñ musalmānoñ ke
baam tak tere zarīya hai rasā.ī kī yahī
duur se jhuk ke qadam luuñ tire darbānoñ ke
un ke bikhre hue gesū nahīñ haTte ruḳh se
aaj nikle haiñ vo jhurmuT meñ nigahbānoñ ke
saath vāloñ meñ mire kohkan-o-qais bhī haiñ
mere qisse nahīñ TukḌe koī afsānoñ ke
chashm-e-yāqūb bane halqa-e-zanjīr kī aañkh
kabhī taqdīr se din phirte haiñ zindānoñ ke
ġhairat-e-haq ko ho kyā josh jab a.amāl ye haiñ
kam hai jo kuchh ho muqaddar meñ musalmānoñ ke
duur se dekh ke phirnā vo mirā ulTe paañv
uf vo badle hue tevar tire darbānoñ ke
mah-o-anjum se Tapaktā hai yahī rātoñ ko
un meñ TuuTe hue sāġhar bhī haiñ mai-ḳhānoñ ke
inheñ Thukrāte chalo hashr meñ lutf aa.egā
inhīñ qabroñ meñ haiñ maare hue armānoñ ke
niklī jaatī hai zamīñ paañv ke nīche se 'riyāz'
kyuuñ duā ko na uTheñ haath musalmānoñ ke
Top Urdushayar.com