Riyaz Khairabadi

thi zarf-e-wazu mein koi shai pi gae kya aap

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934

thī zarf-e-vazū meñ koī shai ga.e kyā aap

ai shaiḳh yahāñ kaun hai maiñ chuur huuñ aap

dīvānoñ ke sar ho ga.ī kiyā zulf-e-dotā aap

vo ke gale apne lagā laa.e bulā aap

hans hans ke mujhe aap abas kos rahe haiñ

ro ro ke mire vāste māñgeñge duā aap

uḌte bhī agar ham to qafas le ke na uḌte

sayyād qafas sū-e-chaman uḌ ke chalā aap

jo uTh nahīñ sakte the ga.e uTh ke lahad meñ

baiThe raheñ ab ghar meñ liye uzr-e-hinā aap

jaate nahīñ ham mast kabhī uTh ke haram se

aatī hai yahāñ uḌ ke mai-e-hosh-rubā aap

kyuuñ phir ga.iiñ kambaḳht āñkheñ dam-e-āḳhir

rakhte the bahut ġhair se ummīd-e-vafā aap

āvāz mirī baiThī hai ai hazrat-e-zāhid

kyuuñ bahr-e-azāñ aaj dabāte haiñ galā aap

halkā ġhilāf ek thā sayyād qafas par

thī aur na kuchh rok rukī mujh se sabā aap

qaabū tumhāre bhī nahīñ josh-e-javānī

be-chheḌe hue TūTte haiñ band-e-qabā aap

mohtāt 'riyāz' aap javānī meñ bahut haiñ

piirī meñ bhī lūTeñge javānī mazā aap

Top Urdushayar.com