Riyaz Khairabadi

kaun dil hai mere allah jo nashad nahin

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
kaun dil hai mire allāh jo nāshād nahīñ
kaun ghar hai mire allāh jo barbād nahīñ
nāznīñ jaan bhī leñ to koī bedād nahīñ
chūḌiyāñ haath meñ haiñ ḳhanjar-e-faulād nahīñ
ai nasīm-e-saharī saath liye jā sū-e-bām
nafas-e-radd hai naala nahīñ fariyād nahīñ
sabz-bāġh aap dikhā.eñ na ab āzādī ke
aap ke baaġh meñ to sarv bhī āzād nahīñ
chup se haiñ kuchh mire āġhosh meñ vo hashr ke din
ye vahī haiñ jinheñ paimān-e-vafā yaad nahīñ
dekhte rañg-e-hinā jaate haiñ maqtal kī taraf
haath meñ teġh nahīñ ḳhanjar-e-faulād nahīñ
hai tirī jeb par aaj aañkh nasheman ke evaz
bāġhbāñ ye to koī chor hai sayyād nahīñ
shor-e-qulqul meñ gum āvāz-e-azāñ hai ai shaiḳh
ye bahut ḳhuub kahī mai-kada ābād nahīñ
ek ik phuul ko ek ek kalī ko dekhā
haar meñ un ke hamārā dil-e-nāshād nahīñ
niklī haiñ hashr meñ duniyā kī purānī bāteñ
maiñ to kyā mere farishtoñ ko bhī ab yaad nahīñ
na girī barq magar aap gire ġhash khā kar
ye to a hazrat-e-mūsā koī uftād nahīñ
jis se aatā thā nasheman kā qafas meñ kuchh lutf
tere qurbān tirī aañkh vo sayyād nahīñ
dil se niklī hai ye dil hī meñ rahegī zālim
jā ke dīvār se Takrā.e vo fariyād nahīñ
kaam kartā thā jo ai charḳh tire parde meñ
vo nahīñ kaam meñ to lazzat-e-bedād nahīñ
ye bahut hai rahe dil par jo hukūmat qaa.em
aaj qabze meñ agar basra-o-baġhdād nahīñ
bū-e-ḳhūñ dete haiñ shīrīñ tire mehñdī lage haath
haath meñ laale ke ḳhūn-e-sar-e-farhād nahīñ
had se aage na baḌhe dekhiye mizhgān-e-darāz
chheḌne ke liye kam nashtar-e-fassād nahīñ
sho.arā aap ko bhī ḳhuub banāte haiñ 'riyāz'
sab ye kahte haiñ koī aap sā ustād nahīñ
Top Urdushayar.com