Riyaz Khairabadi

wada tha jis ka hashr mein wo baat bhi to ho

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
va.ada thā jis kā hashr meñ vo baat bhī to ho
ye sun ke kis adā se kahā raat bhī to ho
ham leñ balā.eñ zulf kī vo raat bhī to ho
aa.e maze kī rut kahīñ barsāt bhī to ho
guzre yūñhī to tauba ke din ab sivā piyūñ
saaqī zarā talāfī-e-māfāt bhī to ho
iz.hār-e-ārzū koī aisī ḳhatā na thī
kyuuñ tevriyāñ chaḌhī haiñ koī baat bhī to ho
pā-posh un hasīnoñ kī aatī hai mere ghar
un kī nazar meñ kuchh mirī auqāt bhī to ho
miinā kī tarah jā ke abhī sar jhukā.eñ ham
pīr-e-muġhāñ sā qibla-e-hājāt bhī to ho
ham mai-kade ko chhoḌ ke ka.abe ke ho raheñ
ka.abe meñ is tarah kī mudārāt bhī to ho
bai.at ko sū-e-shaiḳh baḌheñge hazār haath
hazrat se kuchh zuhūr-e-karāmāt bhī to ho
kahne ko uTh rahegī sitamgar se koī baat
mahshar ke roz mujh se mulāqāt bhī to ho
bint-e-inab bichhā.egī dāman pa-e-namāz
zāhid murīd-e-pīr-e-ḳharābāt bhī to ho
tum ko 'riyāz' jānte haiñ ḳhuub ye hasīñ
jitne ho nek utne hī bad-zāt bhī to ho
Top Urdushayar.com