Riyaz Khairabadi

us husn ka shaida hun us husn ka diwana

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
us husn kā shaidā huuñ us husn kā dīvāna
har gul hai jahāñ bulbul har sham.a hai parvāna
patthar paḌeñ donoñ par ka.aba ho ki but-ḳhāna
donoñ se kahīñ achchhā dīvāne kā parvāna
kahtā hai anā lailā kaisā hai ye dīvāna
nibhne kā nahīñ do din ab qais se yārāna
ka.aba ho kalīsā ho dil ho ki sanam-ḳhāna
jalva ho jahāñ terā ābād vo kāshāna
chhoTā sā mirā dil hai TuuTā sā mirā dil hai
sūrat meñ to paimāna vus.at meñ hai mai-ḳhāna
dil se hai lagī ye lo ik zarra barābar zau
paḌ jaa.e tirā partav ai jalva-e-jānāna
begāna yagāna hai dil ā.ina-ḳhāna hai
ka.abe kā ye ka.aba hai but-ḳhāne kā but-ḳhāna
hai josh-e-junūñ parda ai ishq-e-ḳhirad-āgah
farzāna hai dīvāna dīvāna hai farzāna
farhād bhī majnūñ bhī lete haiñ qadam mere
aisā bhī na ho koī is ishq meñ dīvāna
yaad aa.ī bahut ham ko TuuTī huī tauba bhī
dekhā jo kahīñ ham ne TuuTā huā paimāna
shīshe kī parī tujh meñ kyā husn kā aalam hai
saaqī na ho phir bhī to ye ghar hai parī-ḳhāna
de koī saḳhī-dātā mai-ḳhāna baḌā ghar hai
aatā hai sadā detā shab ko koī mastāna
bahke hue logoñ meñ sab se haiñ 'riyāz' achchhe
raftār hai mastāna guftār hai rindāna
Top Urdushayar.com