Riyaz Khairabadi

na ras aai hum ko jawani hamari

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
na raas aa.ī ham ko javānī hamārī
kaTe kyā baras zindagānī hamārī
adū kī shab-e-vasl sau baar sadqe
shab-e-ġham hai kitnī suhānī hamārī
daġhā de rahe haiñ dam-e-naza.a tum ko
ye hai vaqt-e-ruḳhsat nishānī hamārī
kiye maiñ ne shikve to vo hañs ke bole
adū par bhī hai mehrbānī hamārī
unhīñ ne to dīvāna ham ko banāyā
vahī ab kareñ pāsbānī hamārī
ye saaqī ne sāġhar meñ kyā chiiz de dī
ki tauba huī paanī paanī hamārī
satāte haiñ ham bhī hasīnoñ ko kyā kyā
satātī hai ham ko javānī hamārī
lagī thī jo mai muñh se bhar tauba kyuuñ kī
huī talḳh kyā zindagānī hamārī
kiyā jhuuT va.ada kareñ ham jo tujh se
tire kaam aa.e javānī hamārī
bahut be-asar tum use jānte the
zabānoñ par ab hai kahānī hamārī
qafas dast-e-sayyād meñ ham qafas meñ
ye kaam aa.ī hai ḳhush-bayānī hamārī
'riyāz' aap ham qadr-dāñ apne nikle
kisī ne na kī qadrdānī hamārī
Top Urdushayar.com