Riyaz Khairabadi

paya jo tujhe to kho gae hum

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
paayā jo tujhe to kho ga.e ham
bedār hue to so ga.e ham
dil meñ liye ġhair ko ga.e ham
ek aa.e adam se do ga.e ham
mahshar meñ lagī bujhāne aa.e shaiḳh
sīdhe tasnīm ko ga.e ham
samjhe na vo zaḳhm-o-dāġh-e-dil hai
le kar na.e phuul do ga.e ham
bhar kar dam-e-naz.a ik dam-e-sard
jannat kī havā meñ so ga.e ham
ab dasht-e-nūr-o-ishq jo ho
us raah meñ kāñTe bo ga.e ham
kausar kā thā zikr hauz-e-mai par
ham kah ke gire ki lo ga.e ham
allāh bachā.e duḳht-e-raz se
ye aa.ī ki mast ho ga.e ham
ab kashmakash-e-hisāb kaisī
kuchh hashr meñ aa ke kho ga.e ham
sau ka.aba-e-dīn the jalva-afroz
ḳhum-ḳhāne meñ aaj jo ga.e ham
maiḳhāne meñ jab kabhī ham aa.e
dāḌhī ro kar bhigo ga.e ham
is haj meñ vo but bhī saath hogā
ye sach hai 'riyāz' to ga.e ham
Top Urdushayar.com