Riyaz Khairabadi

zid hamari dua se hoti hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
zid hamārī duā se hotī hai
ham se kyā ab ḳhudā se hotī hai
nāma-bar jā.egā havā se tez
shart bād-e-sabā se hotī hai
na jafā se hai mere dil ko qarār
na tasallī vafā se hotī hai
siine se jab uḌātī hai āñchal
khul ke bād-e-sabā se hotī hai
naza.a meñ un se pher leñ āñkheñ
chaar aañkh ab qazā se hotī hai
sach to ye hai ki ranj-o-ġham se najāt
bāda-e-jāñ-fazā se hotī hai
chāragar ab duā ko haath uThā.eñ
ki aziyyat davā se hotī hai
donoñ pis pis ke rañg laate haiñ
chheḌ dil se hinā se hotī hai
ai junūñ nok-jhoñk kā hai mazā
ḳhaar se naqsh-e-pā se hotī hai
but ulajhte haiñ roz mujh se 'riyāz'
roz mujh bā-ḳhudā se hotī hai
Top Urdushayar.com