Riyaz Khairabadi

subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
sub.h hai raat kahāñ ab vo kahāñ raat kī baat
baat hī baat to hai baiTh bhī lo baat kī baat
arsh par rahte haiñ kyā ka.abe ke rahne vaale
koī suntā hī nahīñ ahl-e-ḳharābāt kī baat
ye koī baat hai ḳhum saath liye vaa.iz aa.e
aur phir maiñ na sunūñ qibla-e-hājāt kī baat
phuuT kar rote hue dekh liyā hai mujh ko
chheḌne ko mire har-vaqt hai barsāt kī baat
vahī ubhrī hai shikan ban ke jabīñ par terī
gaḌ ga.ī dil meñ tire kyā kisī bad-zāt kī baat
na khulā ye ki kahāñ shab ko bichā.ī thī bisāt
ġhair kī chaal kā kuchh zikr thā kuchh baat kī baat
jab kahā maiñ ne kaho ġhair ke ghar kā kuchh haal
bole jhuñjhlā ke nikālī vahī be-bāt kī baat
kahīñ aisā na ho aa jaa.e taras aap ko kuchh
aap suniye na kisī morid-e-āfāt kī baat
zarf-e-be-mai se pilā.ī to haram meñ phailī
phailtī jald hai kuchh ahl-e-karāmāt kī baat
raat ka.abe meñ ga.ī qulqul-e-mīnā ban kar
na to chhuptī hai na dabtī hai ḳharābāt kī baat
koste haiñ vo burī tarah jo kahtā huuñ 'riyāz'
rāt-bhar aaj bhī hotī rahī kal raat kī baat
Top Urdushayar.com