Riyaz Khairabadi

ho ke betab badal lete the aksar karwaT

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ho ke betāb badal lete the aksar karvaT
ab ye hai zo.af ki qaabū se hai bāhar karvaT
hijr se baḌh ke shab-e-vasl aziyyat hai mujhe
ġhair kī yaad dilātī hai tirī har karvaT
riñd bīmār rahā mohtasib-e-shar.a se tez
is qadar jald are pheñk ke sāġhar karvaT
chuTkiyāñ hijr meñ letī hai shikan bistar kī
mere pahlū meñ chubho detī hai nashtar karvaT
shoḳhiyāñ haiñ ki bane hijr kī shab vasl kī raat
so rahe pher ke muñh aap badal kar karvaT
baiThnā un kā nazākat se dabā kar siina
phir ye kahnā ki na lenā tah-e-ḳhanjar karvaT
terī Thokar se na ulTe kahīñ vo taḳhta-e-qabr
le na ḳhvābīda koī fitna-e-mahshar karvaT
har taraf kāñTe bichhe haiñ shikan bistar ke
ham ko mushkil hai badalnā sar-e-bistar karvaT
unheñ muñh pher ke sone nahīñ detā huuñ 'riyāz'
vasl kī raat mujhe kyuuñ na ho dūbhar karvaT
Top Urdushayar.com