Riyaz Khairabadi

fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
fariyād-e-junūñ aur hai bulbul kī fuġhāñ aur
sahrā kī zabāñ aur hai gulshan kī zabāñ aur
kaT jaa.e zabāñ terī to ho garm zabāñ aur hai
allāh ne dī hai tujhe ai sham.a zabāñ aur
jannat bhī hai dozaḳh bhī hai siine meñ hamāre
ye dāġh-e-nihāñ aur hai ye soz-e-nihāñ aur
ho jaa.e sach iflās meñ suntā huuñ rahegā
do-chār mahīne abhī māh-e-ramazāñ aur
āġhāz-e-mohabbat meñ ye dil ḳhuun huā hai
ro.eñge abhī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
duniyā meñ ab aisā qadar-andāz nahīñ hai
hote hī hadaf dil ke chaḌhī un kī kamāñ aur
jo piite haiñ piite nahīñ vo bhī ramzān meñ
suntā huuñ koī band huī mai kī dukāñ aur
achchhā hai raheñ jā ke lag donoñ-jahāñ se
ushshāq ke rahne ko bane ek jahāñ aur
piine kā mazā jab hai ki muñh ḳhum se lagā hai
mujh riñd se saaqī ye kahe jaa.e ki haañ aur
niklā hai mirā naam ki benām-o-nishāñ huuñ
mujh sā bhī na hogā koī benām-o-nishāñ aur
suntā huuñ musalmānoñ meñ ab maañg bahut hai
Dartā huuñ mai-e-nāb na ho jaa.e garāñ aur
pahuñche dar-o-dīvār ko nuqsān to kyā ġham
rone ke liye leñge kirā.e kā makāñ aur
tez ātish-e-sayyāl hai pahle se ziyāda
ab aag lagā.e na zarā pīr-e-muġhāñ aur
dī ham ne jagah dil ko bhī āñkhoñ ke barābar
āñkhoñ meñ samāte nahīñ vo ho ke javāñ aur
marne kā 'riyāz' apne zarā naam na lenā
jiinā abhī mar-mar ke tujhe hai mirī jaañ aur
Top Urdushayar.com