Riyaz Khairabadi

dard ho to dawa kare koi

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
dard ho to davā kare koī
maut hī ho to kyā kare koī
na satā.e koī unheñ shab-e-vasl
un kī bāteñ sunā kare koī
band hotā hai ab dar-e-tauba
dar-e-mai-ḳhāna vā kare koī
qabr meñ aa ke niiñd aa.ī hai
na uThā.e ḳhudā kare koī
thiiñ ye duniyā kī bāteñ duniyā tak
hashr meñ kyā gilā kare koī
na uThī jab jhukī jabīn-e-niyāz
kis tarah iltijā kare koī
bosa leñ ġhair deñ sazā ham ko
ham haiñ mujrim ḳhatā kare koī
bigḌe gesū to bole jhuñjhlā kar
na balā.eñ liyā kare koī
naza.a meñ kyā sitam kā mauqa hai
vaqt hai ab duā kare koī
hashr ke din kī raat ho ki na ho
apnā va.ada vafā kare koī
na satā.e koī kisī ko 'riyāz'
na sitam kā gilā kare koī
Top Urdushayar.com