Riyaz Khairabadi

subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
sub.h-e-mahshar bhī gavārā nahīñ furqat merī
mujh se rah rah ke lipaT jaatī hai turbat meñ
rañj detā hai mazā vo hai tabī.at merī
chain likhtī hai mire vāste qismat merī
aa ke Thukrā ga.e kis naaz se turbat merī
na khulī aañkh mirī haa.e rī ġhaflat merī
koī aatā hai kahīñ aise siyah-ḳhāne meñ
mere ghar kā hai ujālā shab-e-furqat merī
sadqe ai tamkanat-e-nāz dikhā de mujh ko
haa.e vo aañkh na ho jis meñ muravvat merī
kyā niDar ho ke shab-e-vasl vo aa baiThe haiñ
jānte haiñ ki bachā legī nazākat merī
jitne dil ḳhaak hue roz-e-azal se ab tak
aaj un sab kā nishāñ detī hai turbat merī
mai-o-māshūq nahīñ aap meñ rahne dete
ba.ad-e-tauba bhī badal jaatī hai niyyat merī
is tarah hashr meñ aayā huuñ lahad se uTh kar
ki farishte nahīñ pahchānte sūrat merī
hashr meñ pesh-e-nazar hoñge butān-e-kāfir
mujhe Dar hai na bigaḌ jaa.e tabī.at merī
dhoke detī hai burī tarah ye logoñ ko 'riyāz'
miltī-jultī hai bahut ḳhizr se sūrat merī
Top Urdushayar.com