Riyaz Khairabadi

ji uThe hashr mein phir ji se guzarne wale

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jī uThe hashr meñ phir jī se guzarne vaale
yaañ bhī paidā hue phir aap pe marne vaale
chuus kar kis ne chhuḌā.ī hai missī hoñThoñ kī
sāmne muñh to kareñ baat na karne vaale
shab-e-mātam kī udāsī hai suhānī kitnī
chhāñv meñ tāroñ kī nikle haiñ sañvarne vaale
ham to samjhe the ki dushman pe uThāyā ḳhanjar
tum ne jaanā ki hamīñ tum pe haiñ marne vaale
pī ke aa.e haiñ kahīñ haath na bahke vaa.iz
dāḌhī katreñ na kahīñ jeb katarne vaale
sin hī kyā hai abhī bachpan hī javānī meñ sharīk
so raheñ paas mire ḳhvāb meñ Darne vaale
haath gustāḳh haiñ uTh jaa.eñ na ye dāman par
bach ke nikleñ mire marqad se guzarne vaale
naza.a meñ hashr ke va.ade ne ye taskīñ baḳhshī
chain se so rahe muñh Dhāñp ke marne vaale
apne dāman ko sambhāle hue bhole-pan se
vo chale aate haiñ dil le ke mukarne vaale
sabr kī mere mujhe daad zarā de denā
o mire hashr ke din faisla karne vaale
aatī hai hūr-e-jināñ ḳhalvat-e-vā.iz ke liye
qabr meñ utreñge mimbar se utarne vaale
tere āshiq jo ga.e hashr meñ ye shor uThā
jaa.eñ dozaḳh meñ dam sard ke bharne vaale
zer-e-pā dil hī bichhe hoñ ki haiñ ḳhūgar us ke
farsh-e-gul par bhī nahīñ paaoñ vo dharne vaale
ashk-e-ġham aise nahīñ haiñ jo umañD kar rah jaa.eñ
haiñ ye tūfān mire sar se guzarne vaale
kyā mazā detī hai bijlī kī chamak mujh ko 'riyāz'
mujh se lapTe haiñ mire naam se Darne vaale
Top Urdushayar.com