Riyaz Khairabadi

baala-e-baam ghair hai mein aastan par

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
bālā-e-bām ġhair hai meñ āstān par
chāheñ jise chaḌhā.eñ huzūr āsmān par
kyuuñ nā-murād aah ga.ī āsmān par
TuuTe na āsmān kahīñ merī jaan par
rusvā.iyāñ haiñ saath vo chhup kar hazār jaan
sau sau ke sar jhuke haiñ qadam ke nishān par
aanā use zarūr go hoñ laakh ehtimām
āshiq hai un kī niiñd mirī dāstān par
thā rāz-dār-e-husn vo kāfir jo kah gayā
ma.ashūq dil kī baat na laa.eñ zabān par
un kī galī meñ raat meñ is vaz.a se gayā
ghabrā ke pāsbān gire pāsbān par
nāzuk sī teġh-e-yār hai kyā zahr kī bujhī
khaa.e hue hai zahr mire imtihān par
bante haiñ shoḳhiyoñ se vo sūraj bhī chāñd bhī
naqsh-e-qadam bhī aap ke haiñ āsmān par
ḳhalvat meñ bhī chalī haiñ kahīñ sīna-zoriyāñ
is tarah aap tan ke uThe kis gumān par
zikr-e-mai-e-tahūr ne taḌpā diyā 'riyāz'
jaanā paḌā hameñ kisī ūñchī dukān par
Top Urdushayar.com