Riyaz Khairabadi

kafir buton ke nam hon kyunkar tamam hifz

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
kāfir butoñ ke naam hoñ kyūñkar tamām hifz
itne ḳhudā ki ho na sakeñ jin ke naam hifz
matlab na ḳhabt ho koī fiqra na chhūT jaa.e
qāsid ne harf harf kiyā sab payām hifz
ronā mirā ho aur bhī baa.is savāb kā
paḌhtā huuñ soz maiñ ne kiye haiñ salām hifz
dozaḳh kā Dar nahīñ hai to patthar kī aag kyā
kāfir buto hameñ hai ḳhudā kā kalām hifz
piite hī yaad aa ga.e bhūle hue sabaq
pūchho kisī maqām se hai har maqām hifz
maiḳhāne meñ namāz jo kī tū ne jald ḳhatm
suura baḌā na thā koī tujh ko imaam hifz
tujh ko qafas meñ terī sunā.ūñgā guftugū
sayyād bāteñ kī haiñ tirī zer-e-dām hifz
kis ko nahīñ hai qadr hamāre kalām kī
logoñ ko hai 'riyāz' hamārā kalām hifz
Top Urdushayar.com