Riyaz Khairabadi

ulfat mein ayan soz-e-butan ho nahin sakta

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ulfat meñ ayaañ soz-e-butāñ ho nahīñ saktā
ye aag hai aisī ki dhuāñ ho nahīñ saktā
kyā pārā-e-dil koī zabāñ ho nahīñ saktā
kyā uḌ ke lahū rañg-e-fuġhāñ ho nahīñ saktā
o jalva-gah-e-tūr ke khul-khelne vaale
kyā dil koī ḳhalvat kā makāñ ho nahīñ saktā
mujh ko hai lab-e-jām-e-shikasta bhī mah-e-īd
saaqī ye hilāl-e-ramazāñ ho nahīñ saktā
joban se hai maskī huī mahram kā ishāra
ye din vo haiñ koī nigarāñ ho nahīñ saktā
jaane meñ vahāñ āñdhī hai ai āh-e-rasā tū
kyā ashk-e-ravāñ sail-e-ravāñ ho nahīñ saktā
din aur jagah aur ho ai dāvar-e-mahshar
insāf hasīnoñ kā yahāñ ho nahīñ saktā
dīvāna-e-lailā ko na lailā se rahā kaam
kuchh aur balā hai ḳhafaqāñ ho nahīñ saktā
jo daam uTheñ husn-e-javānī ke vo kam haiñ
saudā ye kisī tarah garāñ ho nahīñ saktā
but-ḳhāne banā karte haiñ kis tarah masājid
jab naġhma-e-nāqūs azaañ ho nahīñ saktā
dīvānoñ kā andāz uḌāte haiñ anādil
dīvāne meñ ye rañg-e-fuġhāñ ho nahīñ saktā
ye jaan ko merī hai azaab āTh-pahr kā
dil sā bhī koī āfat-e-jāñ ho nahīñ saktā
haiñ pīrī-o-tiflī-o-javānī ke maze aur
duniyā sā koī aur jahāñ ho nahīñ saktā
badle hue haiñ charḳh ke sab chāñd-sitāre
vo vasl kī rāteñ vo samāñ ho nahīñ saktā
banñe ko 'riyāz' aap baneñ kohkan-o-qais
haiñ sāḳhta bāteñ ḳhafaqāñ ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com