Riyaz Khairabadi

jis din se haram ho gai hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jis din se harām ho ga.ī hai
mai ḳhuld-maqām ho ga.ī hai
qaabū meñ hai un ke vasl kā din
jab aa.e haiñ shaam ho ga.ī hai
uftād-e-chaman ye hai ki bulbul
ḳhud hī tah-e-dām ho ga.ī hai
tauba se ghaTī ye qadr-o-qīmat
mai daam ke daam ho ga.ī hai
aatī hai qayāmat us galī meñ
pāmāl ḳhirām ho ga.ī hai
tauba se hamārī botal achchhī
jab TuuTī hai jaam ho ga.ī hai
kuchh zahr na thī sharāb-e-añgūr
kyā chiiz harām ho ga.ī hai
lab tak jo kabhī na aa.e vo aah
ūñchī so baam ho ga.ī hai
mai-nosh zarūr haiñ vo nā-ahl
jin par ye harām ho ga.ī hai
bujh bujh ke jalī thī qabr par sham.a
jal jal ke tamām ho ga.ī hai
aa jaa.e use jo aa.e mujh tak
maut un kā payām ho ga.ī hai
har baat meñ hoñTh par hai dushnām
ab husn-e-kalām ho ga.ī hai
sar ḳham hai haram meñ sū-e-taiba
kuchh ḳhū-e-salām ho ga.ī hai
daulat dil kī buto hai mahfūz
allāh ke naam ho ga.ī hai
phir phir ke nazar huī hai sadqe
jam kar ḳhat-e-jām ho ga.ī hai
hai duur abhī 'riyāz' manzil
din ḳhatm hai shaam ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com