Riyaz Khairabadi

makan dekhe makin dekhe la-makan dekha

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
makān dekhe makīñ dekhe lā-makāñ dekhā
kahāñ kahāñ tujhe DhūñDā kahāñ kahāñ dekhā
zarā jo ham ne unheñ aaj mehrbāñ dekhā
na ham se pūchhiye kyā rañg-e-āsmāñ dekhā
na pahuñche bām-e-qafas tak kabhī mire naale
vo barq hogī jise gard-e-āshiyāñ dekhā
jhukā jhukā hai to haañ gir paḌe mire sar par
yahī na yaas se thā sū-e-asmāñ dekhā
bahut se riñd bhī dekhe bahut se zāhid bhī
unheñ to piir hamesha inheñ javāñ dekhā
ab ārzūeñ bar aa.iiñ ki ḳhaak meñ mil jaa.eñ
ḳhudā ne din ye dikhāyā unheñ javāñ dekhā
ye jānte haiñ ki dil ḳhaak ho gayā jal kar
na aag dekhī na uThte hue dhuāñ dekhā
bahut hī ro.e gale mil ke ek ek se ham
luTā huā jo koī ham ne kārvāñ dekhā
qafas meñ roke sitam tere dekh leñ sayyād
chaman meñ rah ke bahut lutf-e-bāġhbāñ dekhā
'riyāz' ḳhāk-e-dar-e-mai-kada thā jīte-jī
fanā ke ba.ad use ḳhuld-āshiyāñ dekhā
Top Urdushayar.com