Riyaz Khairabadi

un ke hote kaun dekhe dida-o-dil ka bigaD

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
un ke hote kaun dekhe dīda-o-dil kā bigāḌ
paḌ gayā donoñ meñ fart-e-rashk se kaisā bigāḌ
us kī mahfil kā muraqqa.a khīñch ai maanī magar
is muraqqe meñ zarā tū ġhair kā chehrā bigāḌ
tere jhukne se jhuke haiñ dil ke lene ko hasīñ
kam lagā kar daam ai zālim na tū saudā bigāḌ
duḳht-e-raz ko shakl terī dekh kar nafrat na ho
talḳhi-e-mai se are zāhid na muñh itnā bigāḌ
haañ vahī phir ka.aba ban jā.egā ai sheḳh-e-haram
but-kade kā pahle naqsha khīñch phir naqsha bigāḌ
ho ta.alluq gul-ruḳhoñ se to mazā har baat meñ
kyā banāvaT kyā khīñchāvaT kyā lagāvaT kyā bigāḌ
mere hāl-e-zār par aa jaa.e tujh ko aap rahm
o banāne vaale mere mujh ko tū itnā bigāḌ
koī hoñ kāfir hoñ yā allāh vaale ai 'riyāz'
chaar din kī zindagānī meñ kisī se kyā bigāḌ
Top Urdushayar.com