Riyaz Khairabadi

ye bala mere sar chaDhi hi nahin

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ye balā mere sar chaḌhī hī nahīñ
maiñ ne kachche ghaḌe kī pī hī nahīñ
aag aisī kabhī lagī hī nahīñ
ki lagī dil kī phir bujhī hī nahīñ
pī bhī yuuñ jaise maiñ ne pī hī nahīñ
muñh se mere kabhī lagī hī nahīñ
dil na jab tak huā sharīk-e-hinā
mehñdī un kī kabhī pisī hī nahīñ
shikan-e-zulf halqa-e-gesū
beḌiyāñ bhī haiñ hathkaḌī hī nahīñ
kaun letā balā.eñ paikāñ kī
aarzū koī dil meñ thī hī nahīñ
kis qadar huuñ banā havā meñ bhī
jaise maiñ ne sharāb pī hī nahīñ
dil meñ kyā aa.e kyā chale dil se
tum ne chuTkī to koī lī hī nahīñ
sub.h kā jhuTpuTā thā shaam na thī
vasl kī raat raat thī hī nahīñ
kyuuñ sune shaiḳh qulqul-e-mīnā
us ne aisī kabhī sunī hī nahīñ
aa.e aane ko fasl-e-gul sau baar
mere dil kī kalī khilī hī nahīñ
haa.e sabze meñ vo siyah botal
kabhī aisī ghaTā uThī hī nahīñ
laag bhī dil se hai lagāv ke saath
dushmanī bhī hai dostī hī nahīñ
muñh lagānā mirā ik aafat thā
ḳhum meñ vo chiiz jaise thī hī nahīñ
bazm-ārā-e-hashr ke sadqe
mahfil aisī kabhī jamī hī nahīñ
kuchh maze meñ ham aa ga.e aise
tauba piine se ham ne kī hī nahīñ
koī nā-ḳhush 'riyāz' se kyuuñ ho
us ravish kā vo aadmī hī nahīñ
Top Urdushayar.com