Haidar Ali Aatish

shab-e-wasl thi chandni ka saman tha

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847

shab-e-vasl thī chāñdnī samāñ thā

baġhal meñ sanam thā ḳhudā mehrbāñ thā

mubārak shab-e-qadr se bhī vo shab thī

sahar tak mah o mushtarī qirāñ thā

vo shab thī ki thī raushnī jis meñ din

zamīñ par se ik nuur āsmāñ thā

nikāle the do chāñd us ne muqābil

vo shab sub.h-e-jannat jis par gumāñ thā

urūsī shab halāvat thī hāsil

far.h-nāk thī ruuh dil shādmāñ thā

mushāhid jamāl-e-parī thī āñkheñ

makān-e-visāl ik tilismī makāñ thā

huzūrī nigāhoñ ko dīdār se thī

khulā thā vo parda ki jo darmiyāñ thā

kiyā thā use bosa-bāzī ne paidā

kamar tarah se jo ġhā.eb dahāñ thā

haqīqat dikhātā thā ishq-e-majāzī

nihāñ jis ko samjhe hue the ayaañ thā

bayāñ ḳhvāb tarah jo kar rahā hai

ye qissa hai jab ki 'ātish' javāñ thā

Top Urdushayar.com