Haidar Ali Aatish

surat se isko behtar surat nahin hai koi

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
sūrat se is kī behtar sūrat nahīñ hai koī
dīdār-e-yār sī bhī daulat nahīñ hai koī
āñkhoñ ko khol agar tū dīdār kā hai bhūkā
chaudah tabaq se bāhar ne.amat nahīñ hai koī
sābit tire dahan ko kyā mantiqī kareñge
aisī dalīl aisī hujjat nahīñ hai koī
ye kyā samajh ke kaḌve hote haiñ aap ham se
pī jā.egā kisī ko sharbat nahīñ hai koī
maiñ ne kahā kabhī to tashrīf laao bole
ma.azūr rakhiye vaqt-e-fursat nahīñ hai koī
ham kyā kaheñ kisī se kyā hai tarīq apnā
maz.hab nahīñ hai koī millat nahīñ hai koī
dil le ke jaan ke bhī saa.il jo ho to hāzir
hāzir jo kuchh hai us meñ hujjat nahīñ hai koī
ham shā.eroñ kā halqa halqa hai ārifoñ kā
nā-āshnā-e-ma.anī sūrat nahīñ hai koī
dīvānoñ se hai apne ye qaul us parī kā
ḳhākī o ātishī se nisbat nahīñ hai koī
hazhda hazār aalam dam-bhar rahā hai terā
tujh ko na chāhe aisī ḳhilqat nahīñ hai koī
nāzāñ na husn par ho mehmāñ hai chaar din kā
be-e'tibār aisī daulat nahīñ hai koī
jaañ se aziiz dil ko rakhtā huuñ aadmī huuñ
kyūñ-kar kahūñ maiñ mujh ko hasrat nahīñ hai koī
yuuñ bad kahā karo tum yuuñ maal kuchh na samjho
ham sā bhī ḳhair-ḳhvāh-e-daulat nahīñ hai koī
maiñ pāñch vaqt sajda kartā huuñ is sanam ko
mujh ko bhī aisī-vaisī ḳhidmat nahīñ hai koī
mā-o-shumā kah-o-mah kartā hai zikr terā
is dāstāñ se ḳhālī sohbat nahīñ hai koī
shahr-e-butāñ hai 'ātish' allāh ko karo yaad
kis ko pukārte ho hazrat nahīñ hai koī
Top Urdushayar.com