Haidar Ali Aatish

Khaar matlub jo howe to gulistan mangun

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
ḳhaar matlūb jo hove to gulistāñ māñgūñ
bijlī girne ko jo jī chāhe to bārāñ māñgūñ
sham.a gul hove jo sub.h-e-shab-e-hijrāñ māñgūñ
os paḌnī bhī ho mauqūf jo yārāñ māñgūñ
ḳhaak meñ bhī jo milūñ maiñ to kisī sahrā meñ
tum se miTTī bhī na ai gabr o musalmāñ māñgūñ
baḳht-e-vāzhūñ ne zabāñ ko ye asar baḳhshā hai
talḳhī-e-marg mazā de jo namakdāñ māñgūñ
ḳhāna-e-dil meñ karūñ dāġh-e-mohabbat ko talab
raushnī ke liye is ghar ke jo mehmāñ māñgūñ
pādshāhī se faqīrī kā hai paayā baalā
boriyā chhoḌ ke kyā taḳht-e-sulaimāñ māñgūñ
rañj se ishq ke hai rāht-e-duniyā bad-tar
zaḳhm-e-ḳhandāñ huuñ agar maiñ gul-e-ḳhandāñ māñgūñ
de diyā kījiye saudā.ī tumhārā huuñ miyāñ
sūñghne ko jo kabhī zulf-e-pareshāñ māñgūñ
āshiqe-e-dast-e-nigārīñ huuñ ajab kyā is kā
bhiik dariyā se agar panja-e-marjāñ māñgūñ
meve par bāġh-e-jahāñ meñ ho jo dil ko raġhbat
shajar-e-husn se maiñ seb-e-zanaḳhdāñ māñgūñ
jāma-e-jism bhī rakhne kā nahīñ dast-e-junūñ
pairahan-e-ḳhāk meñ dīvāna-e-uryāñ māñgūñ
yās-o-hirmāñ huuñ jo lohe ke chane bhī to chabā.ūñ
ne.amat-e-ishq ke qābil lab-o-dandāñ māñgūñ
miltī ho māñgne se bāġh-e-jahāñ meñ jo murād
gul se bulbul ke kafan ke liye dāmāñ māñgūñ
kab se dar par tire saa.il huuñ maiñ 'ātish' kī tarah
vo mile mujh ko jo kuchh ai shah-e-ḳhūbāñ māñgūñ
Top Urdushayar.com