Haidar Ali Aatish

taza ho dimagh apna tamanna hai to ye hai

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
taaza ho dimāġh apnā tamannā hai to ye hai
us zulf kī bū sūñghiye saudā hai to ye hai
qaiñchī nahīñ chalvā.ī mire naama ne kis par
parvār kabūtar ho jo anqā hai to ye hai
kuchh sarv kā rutba hī nahīñ qad se tire past
shamshād-o-sanobar se bhī baalā hai to ye hai
miltā jo nahīñ yaar to ham bhī nahīñ milte
ġhairat kā ab apne bhī taqāzā hai to ye hai
ai nūr-e-nazar mo.ajaza-e-husn se tere
andhe bhī kaheñge ki masīhā hai to ye hai
mahshar ko bhī dīdār kā parda na kare yaar
āshiq ko jo andesha-e-fardā hai to ye hai
biinā hoñ jo āñkheñ to ruḳh-e-yār ko dekheñ
nazzāra ke qābil jo tamāshā hai to ye hai
mazmūñ dahan-e-yār kā kyā fikr se nikle
lā-hal jo mo.ammoñ meñ muammā hai to ye hai
gah yād-e-sanam dil meñ hai gah yād-e-ilāhī
ka.aba hai to ye hai jo kalīsā hai to ye hai
ma.ashūq o mai o ḳhāna-e-ḳhālī o shab-e-māh
āshiq ke liye hāsil-e-duniyā hai to ye hai
dīvāne na kyūñ-kar ḳhal-o-zanjīr pahante
sarkār-e-junūñ kā jo sarāpā hai to ye hai
dil ke liye hai ishq to dil ishq kī ḳhātir
mai hai to ye hai aur jo miinā hai to ye hai
dīvāna-e-qad ke kabhī nāloñ ko to suniye
hañgāma-e-mahshar kā sā ġhauġhā hai to ye hai
sābit dahan-e-yār dalīloñ se kar 'ātish'
hujjat kī jo shā.er ke liye jā hai to ye hai
Top Urdushayar.com