Haidar Ali Aatish

laKHt-e-jigar ko kyunkar mizhgan-e-tar sambhaale

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847

laḳht-e-jigar ko kyūñkar mizhgān-e-tar sambhāle

ye shāḳh vo nahīñ jo bār-e-samar sambhāle

dīvāna ho ke koī phāḌā kare garebāñ

mumkin nahīñ ki dāman vo be-ḳhabar sambhāle

talvār khīñch kar vo ḳhūñ-ḳhvār hai ye kahtā

muñh par jo khāte Dartā ho vo sipar sambhāle

takiye meñ aadmī ko lāzim kafan hai rakhnā

baiThā rahe musāfir raḳht-e-safar sambhāle

yak dam na nibhne detī un tunak-mizājī

rakhte na ham tabī.at apnī agar sambhāle

vo naḳhl-e-ḳhushk huuñ maiñ is gulshan-e-jahāñ meñ

phirtā hai bāġhbāñ bhī mujh par tabar sambhāle

har gaam par ḳhushī se vāraftagī hogī

laanā javāb-e-ḳhat ko ai nāma-bar sambhāle

phir katar par us ke sayyād chhurī pher

be-bāl-o-par ne tere phir bāl-o-par sambhāle

dard-e-firāq 'ātish' taḌpā rahā hai ham ko

ik haath dil sambhāle hai ik jigar sambhāle

Top Urdushayar.com