Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

hai ishq to phir asar bhi hoga

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

Patna, Bihar, India

1859-1908
hai ishq to phir asar bhī hogā
jitnā hai idhar udhar bhī hogā
maanā ye ki dil hai us kā patthar
patthar meñ nihāñ sharar bhī hogā
hañsne de use lahad pe merī
ik din vahī nauhagar bhī hogā
naala mirā gar koī shajar hai
ik roz ye bārvar bhī hogā
nādāñ na samajh jahān ko ghar
is ghar se kabhī safar bhī hogā
miTTī kā hī ghar na hogā barbād
miTTī tire tan kā ghar bhī hogā
zulfoñ se jo us kī chhā.egī raat
chehre se ayaañ qamar bhī hogā
gaalī se na Dar jo deñ vo bosa
hai nafā jahāñ zarar bhī hogā
rakhtā hai jo paañv rakh samajh kar
is raah meñ nazr sar bhī hogā
us bazm kī aarzū hai bekār
ham suuñ kā vahāñ guzar bhī hogā
'shahbāz' meñ aib hī nahīñ kul
ek aadh koī hunar bhī hogā
Top Urdushayar.com