Qamar Moradabadi

be-naqab unki jafaon ko kiya hai maine

Qamar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1910-1987
be-naqāb un kī jafāoñ ko kiyā hai maiñ ne
vaqt ke haath meñ ā.īna diyā hai maiñ ne
ḳhuun ḳhud shauq o tamannā kā kiyā hai maiñ ne
apnī tasvīr ko ik rañg diyā hai maiñ ne
ye to sach hai ki nahīñ apne garebāñ kī ḳhabar
terā dāman to ka.ī baar siyā hai maiñ ne
rasan o daar kī taqdīr jagā dī jis ne
terī duniyā meñ vo ailān kiyā hai maiñ ne
harf aane na diyā ishq kī ḳhuddārī par
kaam nākām tamannā se liyā hai maiñ ne
jab kabhī un kī jafāoñ kī shikāyat kī hai
tajziya apnī vafā kā bhī kiyā hai maiñ ne
muddatoñ baad jo is raah se guzrā huuñ 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyā hai maiñ ne
Top Urdushayar.com