Qamar Moradabadi

meri rahon mein kai marhale dushwar aae

Qamar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1910-1987
merī rāhoñ meñ ka.ī marhale dushvār aa.e
dair aayā haram aayā rasan-o-dār aa.e
jalva-gāhoñ meñ abhī sham-e-yaqīñ jalne do
kyā ajab hai jo koī tālib-e-dīdār aa.e
mahfil-e-nāz ke ādāb haiñ sab par lāzim
koī dīvāna yahāñ aa.e ki hoshyār aa.e
ishq meñ vus.at-e-kaunain se shā.ista guzar
kyā ḳhabar hai ki kahāñ jalva-gah-e-yār aa.e
sāz-e-hastī meñ vo soz-e-abadī paidā kar
dil ke TuuTe hue tāroñ se bhī jhankār aa.e
mauj-o-sāhil mah-o-anjum gul-o-lāla dekhe
jab kahīñ tujh ko na paayā to sar-e-dār aa.e
lazzat-e-dard nahīñ sab ke muqaddar meñ 'qamar'
jis ke hissa meñ bhī ye daulat-e-bedār aa.e
Top Urdushayar.com