Qamar Moradabadi

tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen

Qamar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1910-1987
tum usī ko vaj.h-e-tarab kaho ham usī ko bā.is-e-ġham kaheñ
vahī ik fasāna-e-ishq hai kabhī tum kaho kabhī ham kaheñ
kabhī zikr-e-mehr-o-vafā kareñ kabhī dāstān-e-alam kaheñ
baḌe e'timād se vo suneñ baḌe e'timād se ham kaheñ
jise inqalāb na chhū sakā use tū ne ḳhud hī miTā diyā
vahī ek dil kā sanam-kada jise ābrū-e-haram kaheñ
vahī dil-ḳharāsh sī ik nazar jo ba-qadr-e-zauq hai neshtar
use koī tarz-e-sitam kahe ham adā-e-pursish-e-ġham kaheñ
tujhe ye ḳhabar nahīñ sāqiyā ki hai mai-kashoñ kā maqām kyā
ye unhīñ kī vus.at-e-qalb hai ki ḳhud apne zarf ko kam kaheñ
hama-ārzū hama-be-ḳhudī hama-bandagī hama-be-kasī
yahī chand lamhoñ kī zindagī ise kyuuñ na fursat-e-ġham kaheñ
'qamar' is se ham ko ġharaz hī kyā hai sabhī se us kā mo.āmla
jo ḳhudā kaheñ vo ḳhudā kaheñ jo sanam kaheñ vo sanam kaheñ
Top Urdushayar.com