Qamar Moradabadi

lazzat-e-dard-e-jigar yaad aai

Qamar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1910-1987
lazzat-e-dard-e-jigar yaad aa.ī
phir tirī pahlī nazar yaad aa.ī
dard ne jab koī karvaT badlī
zindagī bār-e-digar yaad aa.ī
paḌ ga.ī jab tire dāman pe nazar
azmat-e-dīda-e-tar yaad aa.ī
apnā khoyā huā dil yaad aayā
un kī maḳhmūr nazar yaad aa.ī
dair o kaaba se jo ho kar guzre
dost kī rāhguzar yaad aa.ī
dekh kar us ruḳh-e-zebā pe naqāb
apnī gustāḳh nazar yaad aa.ī
jab bhī tāmīr-e-nasheman kī 'qamar'
yūrish-e-barq-o-sharar yaad aa.ī
Top Urdushayar.com