phir  ek  daaġh  charāġh-e-safar  banāte  hue
nikal  paḌe  haiñ  na.ī  rah-guzar  banāte  hue
vo  jast  bhar  ke  havā  ho  gayā  magar  na  khulā
maiñ  kis  navāh  meñ  thā  us  ke  par  banāte  hue
nikal  sakī  na  koī  aur  sūrat-e-tasvīr
bahā.e  ashk  bahut  chashm-e-tar  banāte  hue
vo  qahr  barhamī-e-baḳht  hai  ki  Darte  haiñ
girā  na  leñ  kahīñ  dīvār  dar  banāte  hue
qadam  qadam  pe  sazā  de  rahā  hai  vaqt  hameñ
hamāre  aib  udū  ke  hunar  banāte  hue
to  zindagī  ko  ji.eñ  kyuuñ  na  zindagī  kī  tarah
kahīñ  pe  phuul  kahīñ  par  sharar  banāte  hue