kise  ḳhabar  ibtidā  kī  anjām  kaun  jaane
gumān  bātil  ḳhayāl  sab  ḳhaam  kaun  jaane
tamām  lafzoñ  kā  ek  mafhūm  kaun  samjhe
tamām  chīzoñ  kā  ek  hī  naam  kaun  jaane
pujāriyoñ  ke  liye  azal  se  taḌap  rahe  haiñ
samay  ke  pahlū  meñ  kitne  asnām  kaun  jaane
nikal  ke  din  kī  tamāzatoñ  se  vafā  kā  sūraj
huā  hai  ḳhuuñ  kis  tarah  sar-e-shām  kaun  jaane
udaas  jazboñ  ke  daldalī  rāstoñ  pe  'ā.alī'
sambhal  gayā  chal  ke  gām-do-gām  kaun  jaane