Jaleel 'Aali'

raat jo mauj-e-hawa ne gul se dil ki baat kahi

Jaleel 'Aali'

Amritsar, Punjab, India

1945

raat jo mauj-e-havā ne gul se dil baat kahī

ik ik barg-e-chaman ne kaisī kaisī baat kahī

āñkheñ rañg ba-rañg saje rastoñ sarshār huiiñ

dil ḳhalish ne manzar manzar ek baat kahī

har iz.har tah meñ ek ma.ānī pinhā the

apnī taraf se sab ne apnī apnī baat kahī

aaj bhī harf o bayāñ ke sab paimāne hairāñ haiñ

kaise ġhazal ne do satroñ meñ puurī baat kahī

sīdhe-sāde se lafzoñ meñ kahnā mushkil thā

is liye to aisī aaḌī tirchhī baat kahī

tum kyuuñ apnī marzī ke mafhūm nikālo ho

utnā matlab hai hamārā jitnī baat kahī

tum bhī to mazmūn-tarāshī meñ masrūf rahe

tum ne bhī to 'ālī' kam kam aslī baat kahī

Top Urdushayar.com