Shumama Ufuq

itna mat roya kar laDki

Shumama Ufuq

1992
itnā mat royā kar laḌkī
baiTh ga.iiñ buniyādeñ ghar kī
dekh musavvir gahrā paanī
aur tasvīr banā andar kī
umr pe taarī ho jaatī hai
nabz kabhī ik lamhe bhar kī
tārīkī hī tārīkī hai
būjhe kaun pahelī Dar kī
saare aañsū pī jaatī hai
maañ se nisbat hai chādar kī
raste meñ dil haar aa.e haiñ
ḳhaak kaheñ rūdād safar kī
yaar 'shumāma' dekh sambhal kar
kāñch hai tū duniyā patthar kī
Top Urdushayar.com