jab  arsh  pe  dam  toḌne  lagtī  haiñ  duā.eñ
detā  hai  rag-e-jāñ  se  mujhe  koī  sadā.eñ
phir  sarmad-o-mansūr  kā  aatā  hai  zamāna
ab  ahl-e-chaman  gul  kī  jagah  daar  ugā.eñ
us  tishna  kī  barsāt  meñ  kyā  pyaas  bujhegī
kashmīr  ke  barfāb  jise  aag  lagā.eñ
yuuñ  apnī  duā  sun  ke  chahak  uTThe  farishte
jis  tarah  suḳhan-fahm  koī  misra.a  uThā.eñ
allāh-re  vo  sarshār  gunahgār  jo  apnī
be-sāḳhta  laġhzish  pe  ḳhudā  ko  bhī  rijhā.eñ