ik  shaḳhs  apne  haath  kī  tahrīr  de  gayā
jaise  mirā  navishta-e-taqdīr  de  gayā
ik  dost  mere  qalb  kī  tālīf  ke  liye
kuchh  zahr  meñ  bujhā.e  hue  tiir  de  gayā
barsoñ  ke  ba.ad  us  se  mulāqāt  jab  huī
biite  dinoñ  kī  chand  tasāvīr  de  gayā
ghere  hue  thī  mujh  ko  shab-e-ġham  kī  tīrgī
vo  muskurā  ke  sub.h  kī  tanvīr  de  gayā
chupke  se  raat  aa  ke  mire  ghar  ke  sahn  meñ
ik  chāñd  mere  ḳhvāb  kī  ta.abīr  de  gayā
maiñ  apne  e'timād  kā  ehsānmand  huuñ
mujh  ko  zamāne  bhar  meñ  jo  tauqīr  de  gayā
vo  kaun  thā  kahāñ  kā  thā  kyā  us  kā  naam  thā
'rāhī'  jo  tere  sheroñ  ko  tāsīr  de  gayā