raunaq  tire  kūche  kī  baḌhāne  chale  aa.e
arbāb-e-junūñ  hashr  uThāne  chale  aa.e
ab  aur  numā.indagī-e-shab  na  karo  tum
ham  parcham-e-ḳhurshīd  uḌāne  chale  aa.e
jab  garmī-e-shabnam  se  badan  jalne  lagā  hai
ham  aag  ke  dariyā  meñ  nahāne  chale  aa.e
jo  log  mirā  naqsh-e-qadam  chuum  rahe  the
ab  vo  bhī  mujhe  raah  dikhāne  chale  aa.e
jin  se  mujhe  phūloñ  kī  thī  ummīd  vahī  log
kāñTe  mirī  rāhoñ  meñ  bichhāne  chale  aa.e
ye  gardish-e-hālāt  kī  hai  zarra-navāzī
vo  ḳhud  hī  mujhe  aaj  manāne  chale  aa.e
kyā  ye  bhī  koī  anjuman-e-māh-vashāñ  hai
'rāhī'  bhī  ġhazal  apnī  sunāne  chale  aa.e