mirī  gahrā.iyāñ  pal-bhar  meñ  vo  nāyāb  kar  degā
mujhe  vo  bāzuoñ  meñ  legā  aur  pāyāb  kar  degā
ajab  andāz  hai  us  gul-badan  ke  pyaar  karne  kā
mujhe  pātāl  tak  le  jā  ke  mahv-e-ḳhvāb  kar  degā
vo  jab  chāhe  jise  chāhe  ġhurūr-e-āshnā.ī  de
nazar  bhar  kar  jise  dekhegā  vo  surḳhāb  kar  degā
sunā  hai  gul  kī  ra.anā.ī  rahegī  jūñ-kī-tūñ  lekin
jo  sailāb  aa.egā  ḳhushbū  ko  zer-e-āb  kar  degā
'shanāvar'  qatra  qatra  bahtī  āñkhoñ  kā  bhī  kuchh  socho!
ye  aisā  rog  hai  miTTī  tirī  be-āb  kar  degā