jahāñ  se  aa.e  the  shāyad  vahīñ  chale  ga.e  haiñ
vo  sāhibān-e-bashārat  kahīñ  chale  ga.e  haiñ
zamīñ  pe  reñgte  rahne  ko  ham  jo  haiñ  maujūd
jo  ahl-e-sharm  the  zer-e-zamīñ  chale  ga.e  haiñ
bahisht  hai  ki  nahīñ  hai  ye  tū  hī  jāntā  hai
tire  faqīr  ba-nām-e-yaqīñ  chale  ga.e  haiñ
dikhā.ī  deñge  kabhī  vaqt  ke  jharokoñ  se
vo  log  ab  bhī  yahīñ  haiñ  hamīñ  chale  ga.e  haiñ
vahī  huā  hai  jo  hotā  hai  sone  vāloñ  se
ai  mere  dil  tire  pahlū-nashīñ  chale  ga.e  haiñ
hamārī  aañkh  'shanāvar'  huī  hai  kyā  namnāk
suḳhan-sarāoñ  se  zehrā-jabīñ  chale  ga.e  haiñ