na  tum  mere  na  dil  merā  na  jān-e-nā-tavāñ  merī
tasavvur  meñ  bhī  aa  saktīñ  nahīñ  majbūriyāñ  merī
na  tum  aa.e  na  chain  aayā  na  maut  aa.ī  shab-e-va.ada
dil-e-muztar  thā  maiñ  thā  aur  thiiñ  be-tābiyāñ  merī
abas  nādāniyoñ  par  āp-apnī  naaz  karte  haiñ
abhī  dekhī  kahāñ  haiñ  aap  ne  nādāniyāñ  merī
ye  manzil  ye  hasīñ  manzil  javānī  naam  hai  jis  kā
yahāñ  se  aur  aage  baḌhnā  ye  umr-e-ravāñ  merī