Shabnam Rumani

har sans mein hai sarir-e-KHama

Shabnam Rumani

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1928-2009
har saañs meñ hai sarīr-e-ḳhāma
maiñ ḳhud ko har aan likh rahā huuñ
kam-zā.iqa āshnā haiñ jis ke
ek aisī zabān likh rahā huuñ
patthar haiñ tamām lafz lekin
maiñ phuul samān likh rahā huuñ
raushan hai yaqīñ kī raushnā.ī
yā apne gumān likh rahā huuñ
in dast-burīda mausamoñ meñ
allāh kī shaan likh rahā huuñ
dīvār chaTaḳh rahī hai mujh meñ
sahrā ko makān likh rahā huuñ
ye ma.arifat-e-ġhazal to dekho
anjān ko jaan likh rahā huuñ
Top Urdushayar.com